ALLAHI ALLAH KIYA KARO


 
Allahi Allah Kiya Karo     Dukh na Kisi Ko Diya karo 
Jo dunya ka malik  he        Nam usi  ka   liya    karo 


1.Kab chahre  pe jhot saja ke       mitty he sachayi 
   jhote ko dunya main  hamesha  milty Rusway  
   sach ki rah pe chala karo 
   dukh na kisi ko diya karo.............. 

 2.Shisha tot ke jur sakta he 
    dil na jure gar tote 
    kasi hain be dard woh insan 
    piyar ka ghar jo lotain 
    aesa zulm na kiya karo 
    dukh na kisi...........................

3.Khud gharzi ki Is Dunya main 
   piyar se jina  sikho 
   yon logon ka dil na dukha o
  rab se darna  sikho  
  sab se muhabat kiya karo
  dukh na kisi ko................

4.har dam ache kam kare jo
  jag main nam kamaye
  sukh milta he us ko jahan main
  har dukh jo sah  jaye 
  har dam hanste raha karo
  dukh na kise ko diya karo 

  Allahi allah   Allahi allah 
   

Comments

Popular posts from this blog

ILIM DOLAT SE BEHTAR HAI

ABDULLAH SHAH GHAZI