ILIM DOLAT SE BEHTAR HAI

EK RIWAYAT MAIN HAI K AHIL E BASRA MAIN BIHAS CHHIR GAYI KUCH NE KAHA ILIM MAAL SE BEHTAR HAI AUR BAAZ NE KAHA NE MAAL KO ILIM SE BEHTAR BATAYA, BIL AAKHIR HAZRAT IBIN E ABBAS (R.A ) KE TARAF AADMI BHEJA AUR FAISLA CHAAHA .
AAP NE IRSHAD FARMAYA KE ILIIM AFZAL HAI. QASID BOLA AGAR UN LOGON NE DALEEL MAANGI TO KIYA KAHUANGA .
· AAP NE IRSHAAD FARMAYA KE PEHLI BAAT YE KE ILIM ANMBIYA ALIHE (SALAM) KA MEERAAS HAI AUR MAAL FIROON KI .
· DOSIRE YE K ILIM TERI HIFAZAT KARTA HE AUR MAAL KI KHUD TUJHE HIFAZAT KARNI PARHTI HE.
· TEESRI YE K ALLAH TALAH ILIM KI DOLAT APNE PIYARE BANDO KO DETA HE AUR MAAL APNE BANDO KO BHI DETA HE AUR GHIRON KO BHI DETA HE.
QURAN PAK MAIN HE,
AUR AGAR YE BAAT NA HOTI KE TAMAAM AADMI EK HI TAREEKE
PAR HOJAYAIN TO JO LOG KHUDA KE SATH KUFAR KARTE HAIN
UN KE LIYE UN KE GHARON KI CHHATAIN HUM CHAANDI KI KAR DETE AUR ZEENE BHI JIN PAR WO CHARHA( UTRA) KARTE HAIN.
· CHOTHI BAAT YE KE ILIM KHARCH KARNE SE KAM NAHIN HOTA AUR MAAL KAM HOTA HE.
· PAANCHWIN YE KE MAALDAR MAR JATA HE TO US KA TAZKIRAH BHI SATH HI KHATAM HOJATA HE AUR AALIM FOT HO JATA HE TO US KA TAZKIRA BAQI RAHTA HE.
· CHHATI YE KE MAALDAR MAR JATA HE AUR SAAHIB E ILIM ZINDA JAWEDHOTA HE.
· SAATWIN YE KE SAAHIB E MAAL SE EK EK DARHAM KA SAWAAL HOGA KE KAHAN SE KAMAYA AUR KAHAN PAR KHARCH KIYA AUR SAHIB E ILIM KO EK EK HADIS PAR JANNAT MAIN DARJA MILE GA.

Comments

  1. The answers were give by Haztat Ali A.S. Not by Ibn e Abbas.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

ABDULLAH SHAH GHAZI